Wednesday 11 February 2015

Ab Koi Aarzoo Nhi Hai Baaki..

Ab Koi Aarzoo Nhi Hai Baaki..

Ab Koi Aarzoo Nhi Hai Baaki..

Justujoo Meri Aakhri Tum Hi Thi..

Baadshahon Ki Tarha Dil Pay Hukoomat Kar K

Baadshahon Ki Tarha Dil Pay Hukoomat Kar K

Zulf Ko Sandali Jhonka Jo Kabhi Kholey Ga
Jism Tootay Huey Pattay Ki Tarha Dolay
Ga

Baadshahon Ki Tarha Dil Pay Hukoomat
Kar K
Woh Mujhe Taash K Patton Ki Tarha Rolay
Ga

Janbish E Lab Se Bhi Hota Hai Ayaan Sab
Matlab
Woh Meri Baat Tarazoo Mein Magar Tolay
Ga

Kisi Bargad Ki Ghani Shakh Se Dil Ka
Panchi
Meri Tanhai Ko Dekhay Ga Tou Kuch Bolay
Ga

Chaand Poonam Ka Sarakti Hui Nagan Ki
Tarha
Neelgon Zehar Merey Khoon Mein Aa
Gholay Ga

Urr Gaya Soch Ka Panchi Bhi Wahan Se
Nainaan
Koi Sunsaan Baneray Pay Nahi Bolay Ga ..

Khuda ko dikh raha hoga

Khuda ko dikh raha hoga,



Khuda ko dikh raha hoga,
na dil tujhse judaa hoga.

Teri taqdeer mein mujhko,
woh ab toh likh raha hoga.

Tera hi bas hona chaahoon.
Tere dard mein rona chaahoon.
Tere dil k in zakhmo pe,
marham main hona chaahoon.


kar le kabool khudaya mere sajde.
ab toh naseeb mein mere usse likh de.


Tu phir na soya hoga,
shayad phir roya hoga
Aasu meri palkon pe,
yun hi na aaya hoga.

Dena mujhko aawazein
Ya sun meri fariaadein.
Ghere hain mujhko yaadein bin tere.

Tujhe hi bas paana chaahoon
Khud ko main khona chaahoon
Tere dil ke inn zakhmo pe,
marham main hona chaahoon.

Dil ne ibaadat ki hai,
teri bas chaahat ki hai.


Likaaya arziyon mein,
tujh bin jeena nahin hai.
Mujh mein ab main kahan hoon.
Tujh mein rehne laga hoon.
Main toh bas jee raha hoon bin mere.

Tujhe khwaab mein dikhna chaahoon.
Teri saans mein khona chaahoon.
Tere dil ke inn zakhmo pe,
marham main hona chaahoon.